Tuesday, March 27, 2007

Christmas :)


Part 1 - THE START


24th Dec 2006, Gandhinagar, Gujarat

Humesha ki tarah main vella baitha tha...

jaane mere frnd ko kya sujhi...bola christmas manayenge...maine kaha ok...mood to mera bhi tha...promise kiya kal jayenge...

at that tym coll mein mere grp main bas 5 people (including me)....2 buzy the...3rd ko padna tha...

4th ne 10 baje ke baad bola ki kal jakar kya karna...mazza to 12 baje hai...

but humare pass bas 1 cycle aur church bhi nahi pata tha kahan hai...
puchne par mere roomie (the 3rd one) ne kahan ki usne arnd 5-6 km far sector 21 mein dekha hai church...

ab ek cycle par 2 person..is sardi mein..bahar koi aur transport bhi nahi...usne mana kiya..

hum dono ziddi...kaha its ok...jana hai to jana hai...maine candles aur match box liye...

Surbhi (frnd) onlyn thi....usse bola..usne kaha ki ek mere taraf se bhi jala dena...ok bol hum bahar nikle...

but jab cycle chk ki to hawa nahi... ....kya karen kya karen...????????

mujhe idea aaya ki canteen waalon mein se kisi ke paas hogi ..unse borrow karte hain...

but sab ja chuke the...

ab kya...frnd ne kaha rehne de...maine phir kaha nope...jaana hai to jaana hai...

hmmm....to maine kaha jaana hai to jaana hai...but how...

so sabse achha aur sachha...Paidal gadi...

cycle rakhi gate pe...aur chal diye...11 bajne ko the...

raaste mein lift ke liye try kiya...frnd ne kaha ki koi nahi dega...maine kaha mera kya jata hai..ek haaath hin to hilana hai...

luckily 2 km ke baad ek van mili...thnk god bola aur chad gaye...wo sector se kuchh dur se nikalni thi..usne 3 km ka distance kam kar diya aur humein ek crossing pe utar diya...

but itni raat aur wo rasta bhi anjaan tha...duuuuuuuur tak koi nahiiiii....humne andaaz se chalna suru kiya...luck agn....kuchh duur par ek janab mile...

unhone bola "beta..tum galat raste par ho...tumhe sec-21 jaana hai aur ye rasta 22 jata hai.."

unhone humein sahi track pe daala...finally 11:59 pe hum so called church ke samne the....

but kahani mein twist....






Part-2 --- THE SHOCK

wahan "HOUSE OF PRAYER" likha tha...and silence...dead drop silence...

raat ke 12 baje..christmas ke din...aisa kaise...???

thik se dekha to wo kisi ka ghar tha...usme ek side mein prayer house bana rakha tha...

kya kare kya karen...???

phir socha aaye hain...to knock kar le...

KNOCK KNOCK...

who r u ?

we r from daiict? aaj christmas hai aur humare pass tym bhi hai aur candle bhi.

so wht?

so humare dimag mein idea aaya ki ye candles church mein jalaye..aur mere frnd ne kaha ki yahan ek church hai..

Son...ye church nahi house of prayer hai..
(diff kya i dont know..)
and we r protestant...so we dont lit candles...(wht...ho gaya LOL..)
so sorry but u hav to return back...

okie uncle...fine..sorry to disturb..Merry Christmas...




but kahani mein phir twist...


Part-3 THE TWIST


but SON thr is a catholic church in sec-9...wahan raat bhar prgrm hai..u can join thm...

(uncle aapke charan kahan hai...joote hain warna choooooooooooom leta...)

cya uncle...




and we were on another journey...ab ye 12:15 mein sec-9 kidhar dhoonde...?


tab humne yaad kiya Gandhinagar ka map...aur recall kiya ki sec-9 wahan se arnd 4 km hain...

and we were agn walking.......we just 2..in a lonely road...in WINTER...

finally 4 km ke baad ek board dikha jisme likha tha...$*&*&%^%

ab 3.5 yrs ki knowledge kaam aaaye..fat se pada its church in gujrati...

thank god bolte hue bade to 1/2 km pe church ki batti dikhi...and crowd tooo...

u cant imagine how happy we were...lik ALCHEMIST...

wahan itni crowd ki under jaane ki jagah nahi...tab pata chala ki yahaan itne christian bhi hain...

yahan mere frnd ne strt ki apni story....."mujhe neend aa rahi hai..ab waapas chalo"

main use kha jaane waali nazron se dekha...

ye 10 km kya hum waapas jaane ko aaye hain...nope main candle jala kar jaounga...

wo rota raha...sota raha...prayer chalti rahi...

d church was wonderfully decorated....

in between WINE mein soaked ek PAPAD ka tukra diya..thn we hav to kiss baby Jesus legs...


after 2 prayer over hue...thn i lit all my candles...

phir kuchh logon ko merry christmas bola....bahar cake mila khane ko...yumieeeeeeeeee..

and ek baar phir hum waapas apne coll ki taraf...akele...




but story mein ek aur ENTRY....







Part 4 -- THE CLIMAX


to hum ja rahe the masti mein..ki ek van ruki...

(kaun hai be..maine socha...bina mange lift dene aa gaya..GUJJU itne to shareef nahi...)


under dekha to 2 Police waale....

"kaun ho? kahan se aa rahe ho?"

"ji SIR, church se..christmas hai na...Merry christmas"..

"kahan rehte ho?"

"DAIICT...bole to Dhirubhai....."

"ID card?"

maine apne frnd se kaha.."Sir ID card mang rahen hai...dikha de"

"tera card kahan hai?"

(sir main @mitesh4u...wo puppy pair (us tym ka DP, chk d pic abv)...orkut pe sab likha hai..padh lo...)
"nahi hai?"

"kyun?"

"lana bhul gaya"

"kyun?"

(kya bolun ????????............haan) "sir shaam jaldi nikla tha..socha nahi tha ki itni der ho jayegi..."

tab tak dusre ne puchcha..."naam kya hai?"

"ji ajeet and amitesh?"

"christian to nahi..phir aadhi raat kaunsi christams mana rahe the..."

"ji ...aise hin?"

"card pe father name nahi hai?"


(ji ab coll waalon ne nahi daala..kal family name bhi dalwa lunga)
"ji coll mein use nahi hota?"


"hmmmmmmmmmmmmmmm....(pause.....long pause......) tab to ek naam ke do bande bhi ho sakte hain?"

(LOGIC..)

(ullu ki duuuuum..card mein photu lagi hai...dikhta nahi...)
"sir, card mein meri pic hai...bas Moustache nahi hai..baki sab same same..."

"hmmmmmmmmmmm............(pause.......long pause.........)thik hai jao?"


ye sunna tha..aur hum wo bhage ki seedha coll ke gate pe...wahan guard baitha tha abhi tak...

ab uske ques..."aap log sachhi gaye...paidal..itni duur..kamal hai...."


ab kya kehta...hum hai hin kamal ke...


aane pe net DOWN.......i was boiling HOT...1/2 hr wait kiya....

phir ninni lene chala gaya....dusri shaam 5 baje utha...


HAPPY ENDING....

 

0 Comments:

Post a Comment

<< Home